Sunday 19 January 2014

// // 1 comment

Indian Republic Day Speech in Hindi

Happy Republic Day 2014 Speech in Hindi


Aadarniya pradahancharya, shishak mahoday aur mere pyaare sehpathiyon. Aaj is shubh avsar par mai apne aapko gauravvantit mehsoos krta hun ki mujhe apne savindhan pe bolne ka mauka mila.
Sabse pehle 26th Jan jo ki Gantantra Divas ke naam se poore bharat varsha me manaya jaata hai. Aaj se thik 65 varsha purva hamara bharat san 1947 me aazad hone ke baad 26 jan 1950 me gantantra hua tha. Is din hamare poore Bharat me samvidhaan ko apnaaya gya tha. Bharat ke pratham rastrapti Dr. Rajendra Prasad ne sabse pehla karya kaal sambhala tha. Tabse ab tak is Bharat desh me kai neeti or kaanoon ko mahatav diya gaya jise Bharat desh ke sarvadhik naagrik apnate hain.
Is din Delhi me Rajpath New Delhi me vishesh parade nikali jaati hai. Raashtrapati dhwaj ko fehrane ke baad is parade ko hari jhandi deta hain jo ki Rashtrapati Bhavan se India gate tak lagayi jati hai. Iske baad anek topon se salaami di jaati hai.
Poore Bharat desh me Gantantra Divas harsho ullas se manaya jata hai. Tarah Tarah ke rangarang karyakarm bhi aayojitki jaati hai. Saare Bhaartiya naagrik desh ke mahan veeron ko shradhanjali samarpit karte hain.
Atah mai aap sabhi logon se aagrah krta hun ki hame apne savindhaan ki raksha apne kartavya ki tarah krni chahiye. Ye hamare desh ki shaan maan or jaan hai. In shabdon ke saath mai apne vaani ko vishraam dena chahta hun..

Recommended for you:-REPUBLIC DAY SPEECH IN ENGLISH



Search Terms (Ignore this):-
Hope you will like our republic day essay, Happy Republic Day 2014 Speech for kids in English, Happy Republic Day 2014 Speech in Hindi, republic day essay in hindi for kids, Republic Day Poems, 65th Republic Day 2014 Speech for kids in English, Republic Day Poems in hindi,Happy Republic Day 2014 Poems,Happy Republic Day 2014 Speech,Happy Republic Day 2014 Wishes,Happy Republic Day 26th January 2014,indian republic day speech,republic day speech,republic day essay,republic day wishes.

1 comment: